main jin ko dhundne nikla tha gahre ghaaron mein pata chala ki wo rahte hain ab sitaron mein parakh raha hai mujhe jo wo is khayal ka hai hamesha jhut nahin hota ishtihaaron mein unhen yaqin tha duniya ki umr lambi hai jo log ped lagate the rahguzaron mein main khud ko dekhun agar dusre ki aankhon se milengi khamiyan apne hi shah-karon mein tumhaari khushbu ko mujh se kahin ye chhin na le hawa jo rahti hai diwar ki dararon mein khuda ka shukr ki main us se thodi dur raha safed sanp tha gende ke pile haaron mein nashili raat ka nashsha kuchh aur badh jata tera nazara bhi hota agar nazaron mein zaban pe aai to apni mithas kho baithi jo baat hoti thi pahle kabhi ishaaron mein