sar par koi aasman rakh de ek munh mein magar zaban rakh de aa sulh nahin salam to le ye tir chadhi kaman rakh de itna bhi na be-lihaz ho ja thoda sa to khush-guman rakh de tujh ko teri hikmaten mubarak ek hath pe ek jahan rakh de phir hum ko gada-e-rah bana kar rah mein koi imtihan rakh de tafsil kahin garan na pad jae ek harf mein dastan rakh de ab dhyan ki baat chhid gai to kuchh is se alag bhi dhyan rakh de