main jis ke sath 'zafar' umr bhar utha baitha wo jaane aaj hai kyun ajnabi bana baitha shikayat us se nahin apne-ap se hai mujhe wo bewafa tha to main aas kyun laga baitha jo mere waste buniyaad tha mohabbat ki main us khayal ki diwar hi gira baitha buland parcham-e-azm-e-safar main kya rakhta mere qarib hi mera ghubar aa baitha samaaton ki fasilon pe aisa pahra tha ki phadphadata hua tair-e-sada baitha mila wo raat mujhe mahfil-e-masarrat mein to main adab se nahin dukh se dur ja baitha 'zafar' batao use hath kya laga sakta jise main dekh ke binai hi ganwa baitha