utthe ghubar-e-shor-e-nafas to wahshat mat karna dasht-darun se hijrat kaisi hijrat mat karna dariya sabza phul sitare achchhi khwahish hai patthar kante dhup gard se nafrat mat karna ek sach ki aawaz mein hain jine ke hazar aahang lashkar ki kasrat pe na jaana baiat mat karna neza-e-subh pe le kar chalna kal ka suraj shab mein magar ailan-e-nawed-e-nusrat mat karna main to sab kuchh dekh raha hun kya kya hai us par main jo kahun shishe ka falak hai hairat mat karna gend si hai be-wazn ye duniya meri thokar mein main jo kahun tum is ko uchchhaalo jurat mat karna 'ramz' samundar ki gahrai mera sar-e-angusht main jo kahun utro pani mein ujlat mat karna