main jo apne haal se kat gaya to kai zamanon mein bat gaya kabhi kaenat bhi kam padi kabhi jism-o-jaan mein simat gaya yahi haal hai kai sal se na qarar-e-dil na sukun-e-jaan kabhi sans gham ki ulat gai kabhi rishta dard se kat gaya meri jiti-jagti fasl se ye suluk baad-e-sumum ka meri kisht-e-fikr ujad gai mera zehn kanton se pat gaya na dayar-e-dard mein chain hai na sukun dasht-e-khayal mein kabhi lamha bhar ko dhuan chhata to ghubar rah mein at gaya na wo aarzu na wo justuju na wo rang-e-jama-e-be-rafu bhala is wajud ka wazn kya jo madar-e-shauq se hat gaya na wo kaif-e-shab na wo mah-e-shab na wo karwan-e-ghazal-e-shab jahan zikr-e-hijr-o-visal tha wo waraq hi koi ulat gaya