abhi na jao abhi raste saje bhi nahin abhi charagh sar-e-kahkashan jale bhi nahin jabin-e-charkh pe gulguna-e-shafaq mal kar abhi to sham ke sae kahin gae bhi nahin abhi abhi to jamai hai main ne bazm-e-khayal abhi ufuq-ba-ufuq baam-o-dar saje bhi nahin urus-e-shab ne abhi chandni utari hai abhi to gesu-e-shab thik se khule bhi nahin abhi se tark-e-talluq ke mashware to na do abhi to yaadon ke sare diye bujhe bhi nahin mere safar mein sitare the bas sharik-e-safar ye rah-rau to meri rah-guzar ke the bhi nahin