main jo murda hun jiyunga ek roz tujh se main aan milunga ek roz qaid hain mujh mein bahut se tufan tu milega to khulunga ek roz shor aata hai nahin sunta main teri aawaz sununga ek roz main to barson se chhupa baitha hun tu ne dhunda to milunga ek roz jo hua tha wo hua tha kyunkar tujh se main baat karunga ek roz main tere naqsh nahin sah paya kya tujhe dekh sakunga ek roz