musafirat meri har justuju se khali hai bas ek madar mein phirne ki khu bana li hai tamam waqt main shahr-e-guman mein rahta hun sukun se rahne ki mantiq nai nikali hai haris aariyon ki bhent chadh gaya chup-chap shajar pe ab koi patta na koi dali hai hawa mein bhar gai hai bu-e-ishtiha har su kisi gharib ne apni rida uchhaali hai labon pe chashni aur dil mein nafraton ka zahr ye aab-o-nar ki sangat badi nirali hai bata raha hai ye patton ka matami sa shor chaman se jald hi aandhi guzarne wali hai