main jo sahra mein kisi ped ka saya hota dil-zada koi ghadi bhar ko to thahra hota ab to wo shakh bhi shayad hi gulistan mein mile kash is phul ko us waqt hi toda hota waqt fursat nahin dega hamein mudne ki kabhi aage badhte hue hum ne jo ye socha hota hanste hanste jo hamein chhod gaya hai hairan ab rulane ke liye yaad na aaya hota waqt-e-rukhsat bhi nirali hi rahi dhaj teri jate jate zara mud ke bhi to dekha hota kis se puchhen ki wahan kaisi guzar hoti hai dost apna kabhi ahwal hi likkha hota aisa lagta hai ki bas khwab se jaga hun abhi sochta hun ki jo ye khwab na tuta hota zindagi phir bhi thi dushwar bahut hi dushwar har qadam sath agar ek masiha hota ek mahfil hai ki din raat bapa rahti hai chand lamhon ke liye kash main tanha hota