main kab se apni talash mein hun mila nahin hun

main kab se apni talash mein hun mila nahin hun
sawal ye hai ki main kahin hun bhi ya nahin hun

ye mere hone se aur na hone se munkashif hai
ki razm-e-hasti mein kya hun main aur kya nahin hun

main shab nizhadon mein subh-e-farda ki aarzu hun
main apne imkan mein raushni hun saba nahin hun

gulab ki tarah ishq mera mahak raha hai
magar abhi us ki kisht-e-dil mein khila nahin hun

na jaane kitne khudaon ke darmiyan hun lekin
abhi main apne hi haal mein hun khuda nahin hun

kabhi to iqbaal-mand hogi meri mohabbat
nahin hai imkan koi magar manta nahin hun

hawaon ki dastaras mein kab hun jo bujh rahunga
main istiara hun raushni ka diya nahin hun

main apni hi aarzu ki chashm-e-malal mein hun
khula hai dar khwab ka magar dekhta nahin hun

udhar tasalsul se shab ki yalghaar hai idhar main
bujha nahin hun bujha nahin hun bujha nahin hun

bahut zaruri hai ahd-e-nau ko jawab dena
so tikhe lahje mein bolta hun khafa nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close