mein kya hun kaun hun ye batane se main raha ab khud ko khud se khud ko milane se main raha main lad pada hun aaj khud apne khilaf hi ab darmiyan se khud ko hatane se main raha hai zindagi asir-e-adam jaanta hun main duniya tere fareb mein aane se main raha mujh mein kahan hai tujh se judai ka hausla ai meri jaan tujh ko ganwane se main raha wahshat bhi apni itni taqqul pasand hai dasht-e-junun mein khak udane se main raha han waz-e-ehtiyat ka qail nahin hun mein jo zakhm hai jigar mein chhupane se main raha wo log mera nam-o-nasab puchhte hain ab jin ki nazar mein ek zamane se main raha kuchh yar mere itne sataish pasand hain 'shahid' ab un ko sher sunane se main raha