main kah raha hun sar-e-am barmala baba

main kah raha hun sar-e-am barmala baba
guman hai bhare mele mein kho gaya baba

kadi hai dhup tamazat se panw jalte hain
jo saeban saron par tha kya hua baba

zara si baat pe aankhen barasne lagti hain
kahan se dhund ke launga hausla baba

tumhaare baad to lamhe nahin guzarte hain
abhi to umr ka baqi hai marhala baba

bas ek umr bachchi hai tumhaari yaad liye
ab apne pas bacha bhi hai aur kya baba

ruki jo sans tumhaari badal gai duniya
kahan wo rabt kisi se jo pahle tha baba

main tin pahar se baitha hua hun qabr ke pas
ab apne karb sameto ki main chala baba

agar sataya zamane ne zahr kha lunga
tumhaara beta hai 'ashraf' bhi sar-phira baba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close