nur ki kiran us se khud nikalti rahti hai waqt katta rahta hai raat dhalti rahti hai aur zikr kya kije apne dil ki haalat ka kuchh bigadti rahti hai kuchh sambhalti rahti hai zehn ubhaar deta hai naqsh haal o mazi ke in dinon tabiat kuchh yun bahalti rahti hai tah-nashin maujen to pur-sukun rahti hain aur sath-e-dariya ki mauj uchhalti rahti hai chahe apne gham ki ho ya gham-e-zamana ki baat to bahar-surat kuchh nikalti rahti hai zindagi hai nam us ka tazgi hai kaam us ka ek mauj-e-khun dil se jo ubalti rahti hai kaif bhi hai masti bhi zahr bhi hai amrit bhi wo jo jam-e-saqi se roz dhalti rahti hai aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi is ka nam duniya hai ye badalti rahti hai hoti hai wo sheron mein munakis kabhi 'ejaz' muddaton ghutan si jo dil mein palti rahti hai