main kaise jiyun gar ye duniya har aan nai taswir na ho ye aate jate rang na hon aur lafzon ki tanwir na ho ai rah-e-ishq ke rahi sun chal aise safar ki lazzat mein teri aankhon mein nae khwab to hon par khwabon ki tabir na ho ghar aaun ya bahar jaun har ek faza mein mere liye ek jhuti sachchi chahat ho rasmon ki koi zanjir na ho jaise ye meri apni surat mere samne ho aur kahti ho mere shaer tere sath hun main mayus na ho dil-gir na ho koi ho to mohabbat aisi ho mujhe dhup aur sae mein jis ke kisi jazbe ka aazar na ho kisi khwahish ki tazir na ho