main kal tanha tha khilqat so rahi thi mujhe khud se bhi wahshat ho rahi thi use jakda hua tha zindagi ne sirhane maut baithi ro rahi thi khula mujh par ki meri khush-nasibi mere raste mein kante bo rahi thi mujhe bhi na-rasai ka samar de mujhe teri tamanna jo rahi thi mera qatil mere andar chhupa tha magar bad-nam khilqat ho rahi thi baghawat kar ke khud apne lahu se ghulami dagh apne dho rahi thi labon par tha sukut-e-marg lekin mere dil mein qayamat so rahi thi ba-juz mauj-e-fana duniya mein 'mohsin' hamari justuju kis ko rahi thi