main kam-sini ke sabhi khilaunon mein yun bikharta jawan hua tha dila main tere hasin khayalon se darta darta jawan hua tha mujhe sitaron ki gardishon se daraega kya nasib mera ki main bagulon ke sath sahra mein raqs karta jawan hua tha bada tajjub hai teri aankhon ki ek tajalli se jal gaya hun wagarna shoalon ki aankh par main gira guzarta jawan hua tha usi kahani ne rang di hai meri jawani ki har nishani main jis kahani mein zindagani ke rang bharta jawan hua tha jo aaj sine ke ek kone mein khamushi se pada hua hai ye dil surayya ke par duniya mein panw dharta jawan hua tha nahin achambhe ki baat koi jo tujh pe 'mumtaz' mar mita hai ye shakhs pahle bhi teri pael pe marta marta jawan hua tha