qatil hua khamosh to talwar bol uthi maqtal mein khun-e-garm ki har dhaar bol uthi puchha subuk saron ka numainda kaun hai sun kar faqih-e-shahr ki dastar bol uthi ahl-e-sitam ke khauf se jo chup thi wo zaban jab bolne pe aai sar-e-dar bol uthi meri tabahiyon ki hai is mein khabar zarur az khud har ek surkhi-e-akhbar bol uthi chehra tha zakhm zakhm koi puchhta na tha yusuf bane to garmi-e-bazar bol uthi ek nakhuda hi yurish-e-tufan pe chup raha chappu kabhi to aur kabhi patwar bol uthi kuchh is tarah se naqsh the inton pe sanche ke zindan mein mujh ko dekh ke diwar bol uthi