main kewal ab khud se rishta rakkhunga yani main ab khud ko tanha rakkhunga duniya se har raaz chhupane ke khatir main apna chehra an-jaana rakkhunga mandi mein gham ka main hi saudagar hun is khatir main dam ziyaada rakkhunga teri surat teri chahat yaaden sab chhote se is dil mein kya kya rakkhunga wada hai tujh se main teri yaadon ko mahshar ki ghadiyon tak zinda rakkhunga ek nazar tum dikh jao is chahat mein kab tak un aankhon ko pyasa rakkhunga 'mit' yahan jo sapne sare bikhre hain soch raha hun in ko bikhra rakkhunga