gham nahin naz-e-husn hai husn ke naz uthae ja ai dil-e-mubtala-e-gham gham mein bhi muskurae ja husn hai ishq-e-afrin husn pe dil lutae ja ishq ko dard-e-dil bana dard ko dil banae ja jalwa-ba-jalwa gar nahin parda-ba-parda aae ja dil mein mere samae ja ruh mein jagmagae ja shorish-e-kaenat mein gham ko khushi banae ja hans mere aansuon mein tu aah mein muskurae ja taron mein jagmagae ja chand mein muskurae ja dur se koi naghma-e-ruh-faza sunae ja zabt ba-qadr-e-zarf hai zarf ba-qadr-e-shauq hai tu abhi samne na aa shauq abhi badhae ja bahama tark-e-rasm-o-rah kuchh to ho iltifat bhi tu mujhe bhul ja magar yaad mujhe tu aae ja husn se badh ke bad-guman ishq hai apne aap se main abhi mutmain nahin tu mujhe aazmae ja sirf jabin-e-shauq ho aur kisi ka aastan sajde bhi darmiyan na hun sajdon ko bhi mitae ja bazm-e-nashat-e-kaenat mujh pe hai khanda-zan hanuz khalwat-e-gham mein tu abhi aur mujhe rulae ja ab na wo 'bismil' aur na tu ab na wo dil na aarzu ab to khuda ke waste yaad use na aae ja