main khali ghar mein bhi tanha nahin tha ki jab tak aaina tuta nahin tha sar-e-aina wo chehra nahin tha magar ye baat main samjha nahin tha jahan sairab hoti thi meri ruh wo sahra tha koi dariya nahin tha mujhe is mod pe mara gaya hai kahani mein jahan marna nahin tha meri aankhon ne wo aansu bhi dekha meri qismat mein jo likkha nahin tha hui thi zindagi jab shahr mein gum kisi ko koi ranj is ka nahin tha