wafaen karke jafa-kashon mein shumar aaya to main ne dekha ki saf-shaffaf aainon par ghubar aaya to main ne dekha na karb ka ho qayas jis mein na sath ho gham-shanas jis mein nazar ke bahar ka wo safar bhi guzar aaya to main ne dekha tamam gul mere ru-ba-ru the ki panw mere lahu lahu the jo qarz kanton ki rahbari ka utar aaya to main ne dekha zaban pe harf-o-sada nahin hai kisi bhi lab par dua nahin hai har ek insan zamir apna jo haar aaya to main ne dekha usi ke wirse mein rahbari hai usi ke hisse mein zindagi hai jo kar-saz-e-amal ka maidan mar aaya to main ne dekha