main khak ho raha hun yahan khak-dan mein wo rang bhar raha hai udhar aasman mein ye kaun bolta hai mere dil ke andarun aawaz kis ki gunjti hai is makan mein phir yun hua ki zamzama-pardaz ho gai wo andalib aur kisi gulsitan mein udti hai khak dil ke darichon ke aas-pas shayad makin koi nahin is makan mein yunhi nahin ruka tha zara der ko safar diwar aa gai thi koi darmiyan mein ek khwab ki talash mein nikla hua wajud shayad pahunch chuka hai kisi dastan mein 'ahmad' tarashta hun kahin baad mein use taswir dekh leta hun pahle chatan mein