apne badan ko chhod ke pachhtaoge miyan bahar hawa hai tez bikhar jaoge miyan khud ko lapete rahna zamana kharab hai zahir kiya to lut liye jaoge miyan jhuton ki bargah badi mo'atabar sahi lekin parae shahr mein kho jaoge miyan phisla jo pair soch ki unchi chatan se gadli faza mein ghulte chale jaoge miyan mujh ko to la-shuur ka irfan ho gaya ab socho mujh se bach ke kahan jaoge miyan