main khak hun so yahi tajraba raha hai mujhe wo shakl-e-nau ke liye raundta raha hai mujhe use jo chahiye main hun usi ke jaisa koi wo mere jaise ki zid mein ganwa raha hai mujhe main wo hi khwab-e-sahar jo fuzul tha din-bhar tawil shab main magar dekha ja raha hai mujhe idhar ye farda khafa hai mere taghaful se udhar khulus se mazi bula raha hai mujhe yahi nahin ki main na-mutmain hun duniya se mera wajud bhi ek masala raha hai mujhe