main kho gaya to shahr-e-fan mein dastiyab ho gaya yahan jo harf mit gaya wahan kitab ho gaya wo ek nazar to kuchh na thi ki rah se bhatak gai palat ke us ko dekhna yahi azab ho gaya hamari fahm-e-na-rasa ke waste bacha hi kya ki husn-e-kaenat to tera naqab ho gaya gunah mere yaad kar ke zakhm sare hans pade lahu lahu badan mera khila gulab ho gaya ziyan o sud mit gae karam pe us ke rah gae hamari sari zindagi ka ye hisab ho gaya wajud jal ke rah gaya sharar-e-la-shuur se bhara pada makan tha khandar kharab ho gaya 'suhail' shor-e-shahr se panah ab kahin nahin huruf reza reza hain sukhan kharab ho gaya