main KHud apni ghazlen aksar paDhta hun hairani se

main khud apni ghazlen aksar padhta hun hairani se
kaise pechida baaten kah leta hun aasani se

jis ghar mein bachche hote hain us ghar se rahti hai dur
virani ko dar lagta hai bachchon ki shaitani se

ped bhi aangan se katwaya aur munder pe kanch jade
mushkil se aazad hua hun chidiyon ki nigarani se

dard ghanera hijr ka sahra ghor andhera aur yaaden
ram nikal ye sare rawan meri ram kahani se

tar aankhen sahil par rakh kar kan laga kar sunta hun
gahra pani kya kahta hai mil kar uthle pani se

yaad duaon mein rakhoge rasman kah to dete ho
kis ne kis ko yaad kiya hai rasmi yaad-dahani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close