main khud gaya na us ki ada le gai mujhe maqtal mein rasm-e-pas-e-wafa le gai mujhe andar se khokhla jo tha balloon ki tarah chaha jidhar hawa ne uda le gai mujhe ek harf tha jo tum ne suna an-suna kiya ab dhundte phiro ki sada le gai mujhe sahil se mera panw phisalne ki der thi ek mauj-e-be-panah baha le gai mujhe baitha tha chhup ke os ki thandi phuwar mein aai kadakti dhup utha le gai mujhe jata kahan ki aage koi rasta na tha andhi gupha mein meri ana le gai mujhe 'sabir' main reza reza khala mein bikhar gaya itni bulandiyon pe hawa le gai mujhe