main khud hun naqd magar sau udhaar sar par hai ajab wabaal-e-gham-e-rozgar sar par hai guman hai sab ko ki hun aasman uthae hue safar safar wo qadam ka ghubar sar par hai hawa-e-jaan ka taqaza ki rahiye ghar se dur ki hain jo ghar mein bayaban hazar sar par hai subuk na samjho mujhe pusht tut jaegi main ek pal sahi sadiyon ka bar sar par hai zamin ke zimme hai jo qarz kyun chukaun main zamana kis liye aakhir sawar sar par hai hazar ghate ka sauda ho ye faqiri-e-harf yahi bahut hai kulah-e-waqar sar par hai 'faza' na tha kabhi taza dimagh itna main hai us ka hath ki shakh-e-bahaar sar par hai