pade hue hain mere jism o jaan mere pichhe hai ek lashkar-e-ghaarat-giran mere pichhe pas-e-wafat ye be-dastakhat meri tahrir nahin hai aur koi bhi nishan mere pichhe mere mulazim o khargah asp aur shatranj sab aaen nazm se matam-kunan mere pichhe guzar rahi hai andhere mein us badan par kya na khul sakegi yahi chistan mere pichhe uthi hui mere sar par azal se hai talwar khinchi hui hai abad se kaman mere pichhe ghira hua hun janam-din se is taaqub mein zamin aage hai aur aasman mere pichhe