main KHud ko har ek samt se gher kar

main khud ko har ek samt se gher kar
khada hun pare khud se munh pher kar

na khud se bhi milne ki jaldi macha
meri man thodi bahut der kar

main apna hi madd-e-muqabil hun ab
kahun khud se le ab mujhe zer kar

kahoge magar kya ki khud ko to main
kahin se bhi le aaunga gher kar

yunhi kho diya tujh ko bhi khud ko bhi
kabhi jaldi kar to kabhi der kar

nahin sans lene ka bhi 'talkh' dam
na sanson ka to jama ye dher kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close