ye dard ka hai musalsal jo silsila kyun hai thahar thahar ke koi dil mein jhankta kyun hai nahin hai koi talluq agar mera tujh se to phir ye chehra tera zard zard sa kyun hai fareb kha ke bhi wade pe e'tibar kiya subut phir bhi wafa ka wo mangta kyun hai agar hai jitna maqsad to phir batae koi wo jaan-bujh ke bazi ko haarta kyun hai ajib log hain us par sawal karte hain kabhi to sochen ki aakhir wo gham-zada kyun hai agar hai daur-e-taraqqi to daur-e-hazir mein batao mujh ko ki har samt karbala kyun hai hai khun ek hi jaisa ragon mein jab 'sahil' to phir ye soch sabhi ki juda juda kyun hai