main KHud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana

main khud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana
wo paimana ki khud mina bhi hai aur khud hi mai-khana

agar sham-e-haqiqat ki ziya-bari nahin har-su
takhayyul ko kahan se aa gae aadab-e-parwana

par-e-parwaz bakhshe mujh ko mere ishq-o-masti ne
haqiqat se jabhi dilchasp-tar hai mera afsana

maqam-e-haif-o-hairat hai ki us ko hi masal dala
numu sidra ki apne sine mein rakhta tha jo dana

wahi is bazm-e-hasti se surur-andoz hote hain
nigahen jin ki hon bebak aur atwar mardana

mujhe ahl-e-nazar ki aankh hi pahchan sakti hai
ki surat to hai rindana magar sirat hakimana

'amin' hai dad ke qabil wasi'-ul-mashrabi meri
ki farzanon mein farzana hun diwanon mein diwana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close