junun ke faiz se hasil hai ye kamal mujhe

junun ke faiz se hasil hai ye kamal mujhe
na aastin ka na daman ka hai khayal mujhe

bana ho jab ki mera sina aaina-khana
shikast-e-shisha-e-dil ka ho kyon malal mujhe

meri bala se koi lakh hatim-e-tai ho
ki ibtida se nahin aadat-e-sawal mujhe

ye bad-lagam sahi main bhi kam sawar nahin
zamana kar nahin sakta hai paemal mujhe

kamal-e-ishq kahun kyon na is tasawwur ko
ki jis ke faiz se ho hijr bhi visal mujhe

main saf-go hun ki dil mein nahin hai mail koi
main rast-rau hun ki bhati nahin hai chaal mujhe

adab nawaz kaha karte hain ‘amin-e-hazin'
magar awam mohammad masih pal mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close