main khud se dur tha aur mujh se dur tha wo bhi bahao tez tha aur zad mein aa gaya wo bhi chhua hi tha ki faza mein bikhar ke phail gaya meri hi tarah dhuen ki lakir tha wo bhi ye dekhne ke liye phir palat na jaun kahin main gum na ho gaya jab tak khada raha wo bhi abhi to kanton-bhari jhadiyon mein atka hai kabhi dikhai diya tha hara-bhara wo bhi bichhadne wale kisi ke liye nahin rukte phir aisa waqt bhi aaya bichhad gaya wo bhi