zindagi aa tera arman badal kar dekhen dil mein hai jo mere mehman badal kar dekhen sham-e-ummid ke manind mila hai koi hijr ki dhup ka unwan badal kar dekhen us ne bakhsha hamein eazaz shanasai ka kyun na hum apni hi pahchan badal kar dekhen meri aankhon mein nae rang ubhar aae hain sain ghar ka sar-o-saman badal kar dekhen aql gul khud ko hai samjhe hue jo khak-nashin us ke dil ka ye kabhi man badal kar dekhen dosh dete hain har ek baat pe haalat ko jo apne andar ka wo insan badal kar dekhen fan ki duniya mein nai subh ka suraj bo kar aao hum apna gulistan badal kar dekhen hum ujala hain ujalon se mohabbat hai hamein fann-e-takhliq teri shan badal kar dekhen zehn ki jhil mein khil uttha mohabbat ka kanwal dil mein jo gham ka hai tufan badal kar dekhen 'rumi' puja wo mukammal nahin hone deta man ke andar hai jo bhagwan badal kar dekhen