main khushamad ke saeban mein tha ek na-ashna aman mein tha wo hawaon ke jal bunta raha aur main bhi kisi udan mein tha lafz-o-mani mein kyon ulajhte ho ye to socho wo kis ke dhyan mein tha tujh se bachhda magar yaqin na kiya ye agarche mere guman mein tha khauf-e-diwar-o-dar mein palta raha main wo be-ghar tha jo makan mein tha ham-nashin gham-zada hue 'manzar' soz aisa tere bayan mein tha