dekhne se tere ji pata hun aankh ke pherte mar jata hun tere honton ke tain pan se lal dekh kar khun-e-jigar khata hun aarzu mein teri yak muddat se apne dil ke tain tarsata hun chaw jo dil mein bhare hain pyare tujh se kahta hua sharmata hun bhule-bisre jo kabhi wahshi sa tere kuche ki taraf aata hun dekh darwaze ki surat tere naqsh-e-diwar sa ho jata hun tu jo nikle hai badalta aankhen us ghadi apna kiya pata hun dil-e-gham-ghin ke tain murda sa god mein apne utha lata hun aansu puchhun hun dilasa de de mannaten kar ke main samjhata hun wo nahin manta jun jun 'hatim' tun tun jine se main ghabraata hun