main khwab-gah-e-zat ke andar nahin rahta insan hun mahaul se kat kar nahin rahta mil jati hai malbe se kisi nam ki takhti dastar to rahti hai magar sar nahin rahta wo phul hai gulchin ki rasai nahin us tak aahu hai magar tir ki zad par nahin rahta us waqt satati hai hamein nind ki dewi jab ek sitara bhi falak par nahin rahta asbab-e-safar le ke nikalte nahin ghar se is waste lutne ka hamein dar nahin rahta har shakhs ki baaton se ye andaza hua hai is shahar mein koi bhi qad-awar nahin rahta kashti ka safar achchha laga hai mujhe 'nasir' ab pesh-e-nazar ek hi manzar nahin rahta