sab usul-e-zindagi be-kar ho ke rah gae

sab usul-e-zindagi be-kar ho ke rah gae
hum asir-e-kakul-e-dildar ho ke rah gae

haal-e-dil na-qabil izhaar ho ke rah gaya
hum kisi ke nakhron se bezar ho ke rah gae

wo jo hirnon ki tarah chaukadiyan bharte the kabhi
waqt ki raftar se lachaar ho ke rah gae

jaane wala chal basa dagh-e-judai de gaya
aur sab ahbab shabnam-bar ho ke rah gae

bais-e-ibrat hai kaise kaise qad-awar darakht
aandhiyon mein waqt ki hamwar ho ke rah gae

jo shagufe zinat-e-gulzar the sahab kabhi
phul ban ke raunaq-e-bazar ho ke rah gae

hum samajhte the jinhen salar-e-amn-o-ashti
haif wo bhi surkhi-e-akhbar ho ke rah gae

kya hamare sae mein aaram farmae koi
hum to bas girti hui diwar ho ke rah gae

kya shikayat kijiye 'nami' kisi begane ki
apne bhi to bais-e-azar ho ke rah gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close