main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun kitne be-khwab darichon se guzar aaya hun mujh ko ehsas hai haalat ki majburi ka bewafa kah ke tujhe aap bhi sharmaya hun mujh ko mat dekh mere zauq-e-samaat ko to dekh ki tere jism ki har tan pe lahraya hun ai moarrikh meri ujdi hui surat pe na ja shahr-e-viran hun magar waqt ka sarmaya hun raushni phail gai hai meri khushbu ki tarah main bhi jalte hue sahraon ka ham-saya hun ham-safar lakh meri rah ka patthar bhi bane phir bhi zehnon ke dar-o-baam pe lahraya hun nai manzil ka junun tohmat-e-gumrahi hai pa-shikasta bhi teri rah mein kahlaya hun phir numu pai hai ek dard-e-khush-aghaz ke sath dahr mein jurat-e-izhaar ka pairaya hun umr bhar but-shikani karta raha aaj magar apni hi zat ke kohsar se takraya hun dahr mein azmat-e-adam ka nishan hun 'farigh' kabhi kohsar kabhi dar pe lahraya hun