main shoala-e-izhaar hun kotah hun qad tak wusat meri dekho to hai diwar-e-abad tak mahaul mein sab gholte hain apni siyahi rukh ek hi taswir ke hain nek se bad tak kuchh fasle aise hain jo tai ho nahin sakte jo log ki bhatke hain wo bhatkenge abad tak kab tak koi karta phire kirnon ki gadai zulmat ki kadi dhup to dasti hai abad tak yun ruthe muqaddar ki koi kaam na ban pae yun tute sahaara koi pahunche na madad tak ab bhi tere nazdik muwahhid nahin 'farigh' iqrar kiya hai tera inkar ki had tak