main ki apne hi aas-pas nahin so bhi ab mujh ko teri aas nahin zindagi ke bane nahin imkan maut ka bhi koi qayas nahin qahr par qahr mujh pe tute hain kya sitam hai ki main udas nahin chahta hun ki tujh ko yaad rakhun par ye chahat bhi utni khas nahin rah ke duniya mein duniya walon se kahta phirta hun duniya ras nahin meri khwahish hai dariya pas aae aur main kah dun ki mujh ko pyas nahin