main is zamin ki dushwariyan banaunga parinde phul kabhi tahniyan banaunga har ek shakhs yahan duriyan banata hai main kuchh alag hun main nazdikiyan banaunga tumhaari ruh ko paikar mein dhaal dunga phir tumhaare jism ki parchhaiyan banaunga tumhaari aankh ki gahraiyan banani hain tumhaari chup se main khamoshiyan banaunga saba ki nazuki mahsus kar ke ek muddat main titliyon pe teri ungliyan banaunga tere hi samne aankhen banaunga teri tere hi samne hairaniyan banaunga bhatakte rahne se mujh ko agar mili fursat main apne waste khud bediyan banaunga mujhe hai ilm ki duniya ki samt jaane par main bhid sochunga tanhaiyan banaunga is ek khwab ne ninden ujad din meri qafas banaunga main qainchiyan banaunga