main ki khud apne khayalat ka zindani hun teri har baat ko kis tarah gawara kar lun sahra sahra jo phira karta hai teri khatir hae wo shakhs jise kahti hai duniya majnun dil ne go lakh ye chaha ki bhula dun tujh ko yaad ne teri magar aaj bhi mara shab-khun kis kharabe mein hamein lai hai wahshat ki jahan koi diwar na dar hai na koi baam-o-sutun aap ghazlen jo kaha karte hain 'nadir'-sahab kya mila karta hai is tarah bhi kuchh dil ko sakun