main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha nahin tha mere muqabil jo tu koi bhi na tha ye ijz-e-zat tha ya irtafa-e-husn-e-nazar kabhi kabhi to mere chaar su koi bhi na tha ajib us ki hai mahfil ki us ki mahfil mein pur-imtiyaz the sab surkh-ru koi bhi na tha main kya bataun ki us khak se hun wabasta zamin-e-dil mein jahan nam numu koi bhi na tha ye kaisi basti hai warid kahan hua hun jahan nazir-e-silsila-e-haw-hu koi bhi na tha chalo chalen ki yaqin o guman ki duniya mein nafas nafis sabhi dil lahu koi bhi na tha main khud hi apne barabar khada hua tha 'tur' bhare jahan mein mera adu koi bhi na tha