kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho ai logo khamosh raho han ai logo khamosh raho sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano khamosh raho un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do khamosh raho mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai phir socho han phir socho han phir socho khamosh raho garm aansu aur thandi aahen man mein kya kya mausam hain is bagiya ke bhed na kholo sair karo khamosh raho aankhen mund kinare baitho man ke rakkho band kiwad 'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo khamosh raho