main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab kisi habib ne mangi hai zindagi ki kitab hamein na bhulna aalam-e-sad-zaman ki yahan hamin hain maskan-e-hirman hamin hain bait-e-azab inhi se shab mein ujala inhi se nur-e-khayal mere liye to bahut kuchh hain dida-e-be-khwab gaya tha dasht se uth kar samundaron ki taraf wahan bhi tishna-nasibi wahan bhi marg-e-sarab pakad ke daman-e-dil ya jhuka ke sar apna diya hai khwab-e-shikasta ka har kisi ko hisab mere kalam ki tafsir ke liye padhiye jamal-e-fikr ki aayat nawa-e-jaan ki kitab wo aankhen pyar ke lahje mein kah rahi thin 'hasan' hamin se mang piyala hamin se mang sharab hawa bahaar ke mausam mein yun chali ki 'naim' na surkh-ru tha gulistan na surkh-ru the gulab