main janam janam ka anis hun kisi taur dil mein basa mujhe koi ranj hai to gamin na ho koi dagh hai to dikha mujhe ye tamam sabza-e-ab-ju ye tamam khema-e-rang-o-bu tere jis khayal ka aks hain wo khayal kar de ata mujhe jinhen harf-e-jaan ki khabar nahin wo padhane aae kitab-e-jaan jinhen koi ilm-e-wafa na tha wo sikhane aae wafa mujhe main niyaz-mand-e-junun sahi mujhe aql se bhi hai wasta kisi khwab ki na jhalak dikha tere pas kya hai dikha mujhe teri guftugu se guman hua koi baat meri bhali lagi main 'naim' hun ki 'hasan' hun ab yahi baat pahle bata mujhe