main kya misal dun koi teri misal ke baad nahin jamal koi bhi tere jamal ke baad ata hui wo bulandi mere takhayyul ko khayal hech hue sab tere khayal ke baad ye tere nam ka sadqa hai sahib-e-mearaj uruj mujh ko mila hai jo har zawal ke baad bataya huliya-mubarak jo umm-e-mabad ne hasin laga na koi aise khadd-o-khal ke baad na lauta aap ke dar se koi tahi-daman na tuta man kisi ka bayan-e-haal ke baad nahin hai ranj koi jo khushi mein dhal na gaya darud main ne padha jab kisi malal ke baad kaniz-e-al-e-mohammad agar main kahlaun visal un se hi hoga mera visal ke baad hai 'tahira' ye tamanna dil-o-nigah ki ab madine jaun hamesha har ek sal ke baad