main lamha lamha nae apne KHadd-o-Khaal mein tha

main lamha lamha nae apne khadd-o-khal mein tha
ki jo bhi kuchh tha main apni shikast-e-haal mein tha

nazar pada to wo aise na dekha ho jaise
wo aks aks tha aur apne hi jamal mein tha

tere khayal se main is qadar hua manus
tu samne tha magar main tere khayal mein tha

shikast-o-rekht ne hi mujh ko khud-kafil kiya
tha zakhm zakhm magar apne indimal mein tha

tumhaare wade se sadiyon ki umr le aaya
jo lamha qurbat-o-duri ke ittisal mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close